sabhi ka hai vo bas hamaara nahin
yahi baat dil ko gawara nahin
muhabbat ne meri hai maara mujhe
mujhe maut ne meri maara nahin
main khud hi karunga karunga jo bhi
mujhe ab kisi ka sahaara nahin
mere waqt pe hai bharosa mujhe
ye mera karega khasaara nahin
khuda ko nahin maanta shakhs jo
use bhi khuda ne bisaara nahin
raqeebo suno dhyaan se baat tum
hamaara hai ab vo tumhaara nahin
mujhe chahiye ab nayi zindagi
puraani mein hoga guzaara nahin
mujhe ishq us se hai be-had magar
use main zara sa bhi pyaara nahin
sahe dard main ne bade pyaar se
madad ko kisi ko pukaara nahin
ye maana ki shaadi nahin main ne kii
magar main maroonga kanwaara nahin
main saagar hoon kya is liye hi mujhe
kabhi bhi milega kinaara nahin
सभी का है वो बस हमारा नहीं
यही बात दिल को गवारा नहीं
मुहब्बत ने मेरी है मारा मुझे
मुझे मौत ने मेरी मारा नहीं
मैं ख़ुद ही करूँगा करूँगा जो भी
मुझे अब किसी का सहारा नहीं
मिरे वक़्त पे है भरोसा मुझे
ये मेरा करेगा ख़सारा नहीं
ख़ुदा को नहीं मानता शख़्स जो
उसे भी ख़ुदा ने बिसारा नहीं
रक़ीबो सुनो ध्यान से बात तुम
हमारा है अब वो तुम्हारा नहीं
मुझे चाहिए अब नई ज़िंदगी
पुरानी में होगा गुज़ारा नहीं
मुझे इश्क़ उस से है बे-हद मगर
उसे मैं ज़रा सा भी प्यारा नहीं
सहे दर्द मैं ने बड़े प्यार से
मदद को किसी को पुकारा नहीं
ये माना कि शादी नहीं मैं ने की
मगर मैं मरूँगा कँवारा नहीं
मैं 'सागर' हूँ क्या इस लिए ही मुझे
कभी भी मिलेगा किनारा नहीं
As you were reading Shayari by Saagar Singh Rajput
our suggestion based on Saagar Singh Rajput
As you were reading undefined Shayari