aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka | और तो कोई बस न चलेगा हिज्र के दर्द के मारों का

  - Ibn E Insha

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maaron ka
subh ka hona doobhar kar den rasta rok sitaaron ka

jhoote sikko mein bhi utha dete hain ye akshar saccha maal
shaklein dekh ke saude karna kaam hai in banjaaron ka

apni zabaan se kuchh na kaheinge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho saka hai poocho haal bechaaron ka

jis gipsy ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi
yun to hamaare shehar mein akshar mela laga nigaaron ka

ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali
ham gumnaamon ne phir bhi ehsaan na maana yaaron ka

dard ka kehna cheekh hi utho dil ka kehna waz'a nibhaao
sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daaron ka

insha jee ab ajnabiyo'n mein chain se baaki umr kate
jin ki khaatir basti chhodi naam na lo un pyaaron ka

और तो कोई बस न चलेगा हिज्र के दर्द के मारों का
सुब्ह का होना दूभर कर दें रस्ता रोक सितारों का

झूटे सिक्कों में भी उठा देते हैं ये अक्सर सच्चा माल
शक्लें देख के सौदे करना काम है इन बंजारों का

अपनी ज़बाँ से कुछ न कहेंगे चुप ही रहेंगे आशिक़ लोग
तुम से तो इतना हो सकता है पूछो हाल बेचारों का

जिस जिप्सी का ज़िक्र है तुम से दिल को उसी की खोज रही
यूँ तो हमारे शहर में अक्सर मेला लगा निगारों का

एक ज़रा सी बात थी जिस का चर्चा पहुँचा गली गली
हम गुमनामों ने फिर भी एहसान न माना यारों का

दर्द का कहना चीख़ ही उठो दिल का कहना वज़्अ' निभाओ
सब कुछ सहना चुप चुप रहना काम है इज़्ज़त-दारों का

'इंशा' जी अब अजनबियों में चैन से बाक़ी उम्र कटे
जिन की ख़ातिर बस्ती छोड़ी नाम न लो उन प्यारों का

  - Ibn E Insha

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari