dekh hamaari deed ke kaaran kaisa qaabil-e-deed hua
ek sitaara baithe baithe taabish mein khurshid hua
aaj to jaani rasta takte shaam ka chaand padeed hua
tu ne to inkaar kiya tha dil kab na-ummeed hua
aan ke is beemaar ko dekhe tujh ko bhi taufeeq hui
lab par us ke naam tha tera jab bhi dard shadeed hua
haan us ne jhalaki dikhlai ek hi pal ko dariche mein
jaano ik bijli lahraai aalam ek shaheed hua
tu ne ham se kalaam bhi chhodaa arz-e-wafa ke sunte hi
pehle kaun qareeb tha ham se ab to aur baeed hua
duniya ke sab kaaraj chhode naam pe tere insha ne
aur use kya thode gham the tera ishq mazid hua
देख हमारी दीद के कारन कैसा क़ाबिल-ए-दीद हुआ
एक सितारा बैठे बैठे ताबिश में ख़ुर्शीद हुआ
आज तो जानी रस्ता तकते शाम का चाँद पदीद हुआ
तू ने तो इंकार किया था दिल कब ना-उम्मीद हुआ
आन के इस बीमार को देखे तुझ को भी तौफ़ीक़ हुई
लब पर उस के नाम था तेरा जब भी दर्द शदीद हुआ
हाँ उस ने झलकी दिखलाई एक ही पल को दरीचे में
जानो इक बिजली लहराई आलम एक शहीद हुआ
तू ने हम से कलाम भी छोड़ा अर्ज़-ए-वफ़ा के सुनते ही
पहले कौन क़रीब था हम से अब तो और बईद हुआ
दुनिया के सब कारज छोड़े नाम पे तेरे 'इंशा' ने
और उसे क्या थोड़े ग़म थे तेरा इश्क़ मज़ीद हुआ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ibn E Insha
our suggestion based on Ibn E Insha
As you were reading Bijli Shayari Shayari