farz karo hum ahl-e-wafa hon farz karo deewane hon | फ़र्ज़ करो हम अहल-ए-वफ़ा हों, फ़र्ज़ करो दीवाने हों - Ibn E Insha

farz karo hum ahl-e-wafa hon farz karo deewane hon
farz karo ye dono baatein jhooti hon afsaane hon

farz karo ye jee ki bipata jee se jod sunaai ho
farz karo abhi aur ho itni aadhi hum ne chhupaai ho

farz karo tumhein khush karne ke dhundhe hum ne bahaane hon
farz karo ye nain tumhaare sach-much ke may-khaane hon

farz karo ye rog ho jhoota jhooti peet hamaari ho
farz karo is peet ke rog mein saans bhi hum par bhari ho

farz karo ye jog bajog ka hum ne dhong rachaaya ho
farz karo bas yahi haqeeqat baaki sab kuch maaya ho

dekh meri jaan kah gaye baahoo kaun dilon ki jaane huu
basti basti sehra sehra laakhon karein deewane huu

jogi bhi jo nagar nagar mein maare maare firte hain
qaasa liye bhaboot ramaaye sab ke dwaare firte hain

sha'ir bhi jo meethi baani bol ke man ko harte hain
banjaare jo unche daamon jee ke saude karte hain

in mein sacche moti bhi hain in mein kankar patthar bhi
in mein uthle paani bhi hain in mein gehre saagar bhi

gori dekh ke aage badhna sab ka jhoota saccha huu
doobne waali doob gai vo ghada tha jis ka kaccha huu

फ़र्ज़ करो हम अहल-ए-वफ़ा हों, फ़र्ज़ करो दीवाने हों
फ़र्ज़ करो ये दोनों बातें झूटी हों अफ़्साने हों

फ़र्ज़ करो ये जी की बिपता जी से जोड़ सुनाई हो
फ़र्ज़ करो अभी और हो इतनी आधी हम ने छुपाई हो

फ़र्ज़ करो तुम्हें ख़ुश करने के ढूँढे हम ने बहाने हों
फ़र्ज़ करो ये नैन तुम्हारे सच-मुच के मय-ख़ाने हों

फ़र्ज़ करो ये रोग हो झूटा झूटी पीत हमारी हो
फ़र्ज़ करो इस पीत के रोग में साँस भी हम पर भारी हो

फ़र्ज़ करो ये जोग बजोग का हम ने ढोंग रचाया हो
फ़र्ज़ करो बस यही हक़ीक़त बाक़ी सब कुछ माया हो

देख मिरी जाँ कह गए बाहू कौन दिलों की जाने 'हू'
बस्ती बस्ती सहरा सहरा लाखों करें दिवाने 'हू'

जोगी भी जो नगर नगर में मारे मारे फिरते हैं
कासा लिए भबूत रमाए सब के द्वारे फिरते हैं

शाइ'र भी जो मीठी बानी बोल के मन को हरते हैं
बंजारे जो ऊँचे दामों जी के सौदे करते हैं

इन में सच्चे मोती भी हैं, इन में कंकर पत्थर भी
इन में उथले पानी भी हैं, इन में गहरे सागर भी

गोरी देख के आगे बढ़ना सब का झूटा सच्चा 'हू'
डूबने वाली डूब गई वो घड़ा था जिस का कच्चा 'हू'

- Ibn E Insha
0 Likes

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ibn E Insha

As you were reading Shayari by Ibn E Insha

Similar Writers

our suggestion based on Ibn E Insha

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari