dil mein hai ittifaq se dasht bhi ghar ke saath saath
is mein qayaam bhi karein aap safar ke saath saath
dard ka dil ka shaam ka bazm ka may ka jaam ka
rang badal badal gaya ek nazar ke saath saath
khwaab uda diye gaye ped gira diye gaye
dono bhula diye gaye ek khabar ke saath saath
shaakh se is kitaab tak khaak se le ke khwaab tak
jaayega dil kahaan talak us gul-e-tar ke saath saath
is ko ghazal samajh ke hi sarsari dekhiye sahi
ye mera haal-e-dil bhi hai arz-e-hunar ke saath saath
दिल में है इत्तिफ़ाक़ से दश्त भी घर के साथ साथ
इस में क़याम भी करें आप सफ़र के साथ साथ
दर्द का दिल का शाम का बज़्म का मय का जाम का
रंग बदल बदल गया एक नज़र के साथ साथ
ख़्वाब उड़ा दिए गए पेड़ गिरा दिए गए
दोनों भुला दिए गए एक ख़बर के साथ साथ
शाख़ से इस किताब तक ख़ाक से ले के ख़्वाब तक
जाएगा दिल कहाँ तलक उस गुल-ए-तर के साथ साथ
इस को ग़ज़ल समझ के ही सरसरी देखिए सही
ये मिरा हाल-ए-दिल भी है अर्ज़-ए-हुनर के साथ साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Gham Shayari Shayari