vo gul vo khwab-shaar bhi nahin raha
so dil ye khaaksaar bhi nahin raha
ye dil to us ke naam ka padaav hai
jahaan vo ek baar bhi nahin raha
pada hai khud se vaasta aur is ke b'ad
kisi ka e'tibaar bhi nahin raha
ye ranj apni asl shakl mein hai dost
ki main ise sanwaar bhi nahin raha
ye waqt bhi guzar nahin raha hai aur
main khud ise guzaar bhi nahin raha
वो गुल वो ख़्वाब-शार भी नहीं रहा
सो दिल ये ख़ाकसार भी नहीं रहा
ये दिल तो उस के नाम का पड़ाव है
जहाँ वो एक बार भी नहीं रहा
पड़ा है ख़ुद से वास्ता और इस के ब'अद
किसी का ए'तिबार भी नहीं रहा
ये रंज अपनी अस्ल शक्ल में है दोस्त
कि मैं इसे सँवार भी नहीं रहा
ये वक़्त भी गुज़र नहीं रहा है और
मैं ख़ुद इसे गुज़ार भी नहीं रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Dosti Shayari Shayari