matla ghazal ka gair zaroori kya kyun kab ka hissa hai | मतला ग़ज़ल का ग़ैर ज़रूरी क्या क्यूँ कब का हिस्सा है

  - Idris Babar

matla ghazal ka gair zaroori kya kyun kab ka hissa hai
zindagi chocolate cake hai thoda thoda sab ka hissa hai

ab jo baar mein tanhaa peeta hoon coffee ke naam pe zahar
us ki talkh si sheereeni mein us ke lab ka hissa hai

lok kahaaniyon mein ma-ba'ad-e-jadeed ki pesh-aamad jaise
fiction ki re-sell value mein mazhab ka hissa hai

ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iran
sindh hai cheen mein aur pyaara punjab arab ka hissa hai

sohni ya sohne se pehle haq hai ghade par paani ka
kab se ghadi mein jab aur tab se ziyaada ab ka hissa hai

maana hijr ki raat hai ye par kitni khushi ki baat hai ye
gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab ka hissa hai

cab chalaane waale daaji tab chalaane waala saaji
vo jo adab ka hissa the to ye bhi adab ka hissa hai

tay hua nazm hi mustaqbil hai paan-sau bill hai bhai pyaaro
aankh na maaro ghazal hamaare hasb-nasb ka hissa hai

ik din jab boodhe painter ke paas sharaab ke paise nahin the
chat par ye ghanghor ghatta tab se is pub ka hissa hai

sex jo pehle sakhtiyaati roz-o-shab ka hissa thi
ab maaba'ad-e-sakhtiyaati roz-o-shab ka hissa hai

qaafiya bahar radif waghera jaise hareef zareef waghera
in ko thanda soda pilao bhaai ye kab ka qissa hai

मतला ग़ज़ल का ग़ैर ज़रूरी क्या क्यूँ कब का हिस्सा है
ज़िंदगी चाकलेट केक है थोड़ा थोड़ा सब का हिस्सा है

अब जो बार में तन्हा पीता हूँ कॉफ़ी के नाम पे ज़हर
उस की तल्ख़ सी शीरीनी में उस के लब का हिस्सा है

लोक कहानियों में मा-बा'द-ए-जदीद की पेश-आमद जैसे
फ़िक्शन की री-सेल वैल्यू में मज़हब का हिस्सा है

के-पी-के अफ़्ग़ानिस्तान है और बलोचिस्तान ईरान
सिंध है चीन में और प्यारा पंजाब अरब का हिस्सा है

सोहनी या सोहने से पहले हक़ है घड़े पर पानी का
कब से घड़ी में जब और तब से ज़्यादा अब का हिस्सा है

माना हिज्र की रात है ये पर कितनी ख़ुशी की बात है ये
ग़म की रिम-रिम-झिम की हमदम बज़्म-ए-तरब का हिस्सा है

कैब चलाने वाले दाजी टैब चलाने वाला साजी
वो जो अदब का हिस्सा थे तो ये भी अदब का हिस्सा है

तय हुआ नज़्म ही मुस्तक़बिल है पान-सौ बिल है भई प्यारो
आँख न मारो ग़ज़ल हमारे हसब-नसब का हिस्सा है

इक दिन जब बूढे पेंटर के पास शराब के पैसे नहीं थे
छत पर ये घनघोर घटा तब से इस पब का हिस्सा है

सैक्स जो पहले साख़्तियाती रोज़-ओ-शब का हिस्सा थी
अब माबा'द-ए-साख़्तियाती रोज़-ओ-शब का हिस्सा है

क़ाफ़िया बहर रदीफ़ वग़ैरा जैसे हरीफ़ ज़रीफ़ वग़ैरा
इन को ठंडा सोडा पिलाओ भाई ये कब का क़िस्सा है

  - Idris Babar

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari