aa jaaye vo milne to mujhe eid-mubaarak
mat aaye b-har-haal use eid-mubaarak
aisa ho sab insaan hon khush itne ki har roz
ik doosre se kehta phire eid-e-mubarak
haan mujh se jise jis se mujhe jo bhi gila ho
aabaad rahe shaad rahe eid-e-mubarak
tanhaai si tanhaai ki deewaar bhi shashdar
ab khul ke kahe ya na kahe eid-e-mubarak
sargoshi ne patthar ko sabq yaad dilaayaa
paani ne likha aaine pe eid-e-mubarak
tum jo mere sher'on ke mukhaatib the na hoge
aakhir mein tumhein sirf tumhe eid-mubaarak
आ जाए वो मिलने तो मुझे ईद-मुबारक
मत आए ब-हर-हाल उसे ईद-मुबारक
ऐसा हो सब इंसान हों ख़ुश इतने कि हर रोज़
इक दूसरे से कहता फिरे ईद-ए-मुबारक
हाँ मुझ से जिसे जिस से मुझे जो भी गिला हो
आबाद रहे शाद रहे ईद-ए-मुबारक
तन्हाई सी तन्हाई कि दीवार भी शश्दर
अब खुल के कहे या न कहे ईद-ए-मुबारक
सरगोशी ने पत्थर को सबक़ याद दिलाया
पानी ने लिखा आईने पे ईद-ए-मुबारक
तुम जो मिरे शे'रों के मुख़ातिब थे न होगे
आख़िर में तुम्हें सिर्फ़ तुम्हे ईद-मुबारक
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading I Miss you Shayari Shayari