dekha nahin chaand ne palat kar | देखा नहीं चाँद ने पलट कर

  - Idris Babar

dekha nahin chaand ne palat kar
ham so gaye khwaab se lipt kar

ab dil mein vo sab kahaan hai dekho
baghdaad kahaaniyon se hat kar

shaayad ye shajar wahi ho jis par
dekho to zara varq ult kar

ik khauf-zada sa shakhs ghar tak
pahuncha kai raaston mein bat kar

kaaghaz pe vo nazm khil uthi hai
ug aaya hai phir darakht kat kar

babar ye parind thak gaye the
baithe hain jo khaak par simat kar

देखा नहीं चाँद ने पलट कर
हम सो गए ख़्वाब से लिपट कर

अब दिल में वो सब कहाँ है देखो
बग़दाद कहानियों से हट कर

शायद ये शजर वही हो जिस पर
देखो तो ज़रा वरक़ उलट कर

इक ख़ौफ़-ज़दा सा शख़्स घर तक
पहुँचा कई रास्तों में बट कर

काग़ज़ पे वो नज़्म खिल उठी है
उग आया है फिर दरख़्त कट कर

'बाबर' ये परिंद थक गए थे
बैठे हैं जो ख़ाक पर सिमट कर

  - Idris Babar

Chaand Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Chaand Shayari Shayari