dil koi aaina nahin toot ke rah gaya to phir | दिल कोई आईना नहीं टूट के रह गया तो फिर

  - Idris Babar

dil koi aaina nahin toot ke rah gaya to phir
theek hi kah rahe ho tum theek na ho saka to phir

us ko bhulaane lag gaye is mein zamaane lag gaye
b'ad mein yaad aa gaya vo koi aur tha to phir

phool hai jo kitaab mein asl hai ki khwaab hai
us ne is iztiraab mein kuchh na padha likha to phir

raaste ajnabi se the ped the so kisi ke the
ye koi sochta to kyun aur koi sochta to phir

ab use khwaab jaan ke so raho lambi taan ke
yaad na aa saka to kya yaad bhi aa gaya to phir

दिल कोई आईना नहीं टूट के रह गया तो फिर
ठीक ही कह रहे हो तुम ठीक न हो सका तो फिर

उस को भुलाने लग गए इस में ज़माने लग गए
ब'अद में याद आ गया वो कोई और था तो फिर

फूल है जो किताब में अस्ल है कि ख़्वाब है
उस ने इस इज़्तिराब में कुछ न पढ़ा लिखा तो फिर

रास्ते अजनबी से थे पेड़ थे सो किसी के थे
ये कोई सोचता तो क्यूँ और कोई सोचता तो फिर

अब उसे ख़्वाब जान के सो रहो लम्बी तान के
याद न आ सका तो क्या याद भी आ गया तो फिर

  - Idris Babar

Yaad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Yaad Shayari Shayari