mashhoor to bas ek diya hai mere dil mein
kitne hi sitaaron ki jagah hai mere dil mein
tum ne to hikaayat hi sun rakhi hain warna
vo shehar vo kheme vo sira hai mere dil mein
main raah se bhatkoon to khatkati hai koi baat
jis tarah koi samt-numa hai mere dil mein
duniya se guzarne ko abhi umr padi hai
ye khwaab to kuchh din ko ruka hai mere dil mein
ye ghar dar-o-deewar ki had tak hai salaamat
lekin vo jo ghar toot gaya hai mere dil mein
ye log zara der ko tal jaayen to babar
main dekh luun kya waqt hua hai mere dil mein
मशहूर तो बस एक दिया है मिरे दिल में
कितने ही सितारों की जगह है मिरे दिल में
तुम ने तो हिकायात ही सुन रक्खी हैं वर्ना
वो शहर वो खे़मे वो सिरा है मिरे दिल में
मैं राह से भटकूँ तो खटकती है कोई बात
जिस तरह कोई सम्त-नुमा है मिरे दिल में
दुनिया से गुज़रने को अभी उम्र पड़ी है
ये ख़्वाब तो कुछ दिन को रुका है मिरे दिल में
ये घर दर-ओ-दीवार की हद तक है सलामत
लेकिन वो जो घर टूट गया है मिरे दिल में
ये लोग ज़रा देर को टल जाएँ तो 'बाबर'
मैं देख लूँ क्या वक़्त हुआ है मिरे दिल में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Shohrat Shayari Shayari