is se pehle ki zameen-zaad sharaarat kar jaayen | इस से पहले कि ज़मीं-ज़ाद शरारत कर जाएँ - Idris Babar

is se pehle ki zameen-zaad sharaarat kar jaayen
hum sitaaron ne ye socha hai ki hijrat kar jaayen

daulat-e-khwab hamaare jo kisi kaam na aayi
ab kisi ko nahin milne ki wasiyyat kar jaayen

dehr se hum yoonhi be-kaar chale jaate the
phir ye socha ki chalo ek mohabbat kar jaayen

ik zara waqt mayassar ho to aa kar mere dost
dil mein khilte hue phoolon ko naseehat kar jaayen

un hawa-khwaahon se kehna ki zara shaam dhale
aayein aur bazm-e-charaaghan ki sadaarat kar jaayen

dil ki ik ek kharaabi ka sabab jaante hain
phir bhi mumkin hai ki hum tum se muravvat kar jaayen

shehar ke ba'ad to sehra tha miyaan khair hui
dasht ke paar bhala kya hai ki vehshat kar jaayen

reg-e-dil mein kai na-deeda parinde bhi hain dafn
sochte honge ki dariya ki ziyaarat kar jaayen

इस से पहले कि ज़मीं-ज़ाद शरारत कर जाएँ
हम सितारों ने ये सोचा है कि हिजरत कर जाएँ

दौलत-ए-ख़्वाब हमारे जो किसी काम न आई
अब किसी को नहीं मिलने की वसिय्यत कर जाएँ

दहर से हम यूँही बे-कार चले जाते थे
फिर ये सोचा कि चलो एक मोहब्बत कर जाएँ

इक ज़रा वक़्त मयस्सर हो तो आ कर मिरे दोस्त
दिल में खिलते हुए फूलों को नसीहत कर जाएँ

उन हवा-ख़्वाहों से कहना कि ज़रा शाम ढले
आएँ और बज़्म-ए-चराग़ाँ की सदारत कर जाएँ

दिल की इक एक ख़राबी का सबब जानते हैं
फिर भी मुमकिन है कि हम तुम से मुरव्वत कर जाएँ

शहर के बा'द तो सहरा था मियाँ ख़ैर हुई
दश्त के पार भला क्या है कि वहशत कर जाएँ

रेग-ए-दिल में कई नादीदा परिंदे भी हैं दफ़्न
सोचते होंगे कि दरिया की ज़ियारत कर जाएँ

- Idris Babar
0 Likes

Nadii Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Nadii Shayari Shayari