ab masafat mein to aaraam nahin aa saka | अब मसाफ़त में तो आराम नहीं आ सकता

  - Idris Babar

ab masafat mein to aaraam nahin aa saka
ye sitaara bhi mere kaam nahin aa saka

ye meri saltanat-e-khwab hai aabaad raho
is ke andar koi bahraam nahin aa saka

jaane khilte hue phoolon ko khabar hai ki nahin
baagh mein koi siyah-faam nahin aa saka

har hawa-khwah ye kehta tha ki mahfooz hoon main
bujhne waalon mein mera naam nahin aa saka

main jinhen yaad hoon ab tak yahi kahte honge
shahzaada kabhi naakaam nahin aa saka

dar hi lagta hai ki raaste mein na rah jaaun kahi
kahlawaa deejie mein shaam nahin aa saka

अब मसाफ़त में तो आराम नहीं आ सकता
ये सितारा भी मिरे काम नहीं आ सकता

ये मिरी सल्तनत-ए-ख़्वाब है आबाद रहो
इस के अंदर कोई बहराम नहीं आ सकता

जाने खिलते हुए फूलों को ख़बर है कि नहीं
बाग़ में कोई सियह-फ़ाम नहीं आ सकता

हर हवा-ख़्वाह ये कहता था कि महफ़ूज़ हूँ मैं
बुझने वालों में मिरा नाम नहीं आ सकता

मैं जिन्हें याद हूँ अब तक यही कहते होंगे
शाहज़ादा कभी नाकाम नहीं आ सकता

डर ही लगता है कि रस्ते में न रह जाऊँ कहीं
कहलवा दीजिए में शाम नहीं आ सकता

  - Idris Babar

Peace Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Peace Shayari Shayari