ek din khwaab-nagar jaana hai
aur yoonhi khaak-basar jaana hai
umr bhar ki ye jo hai be-khwabi
ye usi khwaab ka harjaana hai
ghar se kis waqt chale the ham log
khair ab kaun sa ghar jaana hai
maut ki pehli alaamat saahib
yahi ehsaas ka mar jaana hai
kisi taqreeb-e-judai ke baghair
theek hai jaao agar jaana hai
shor ki dhool mein gum galiyon se
dil ko chup-chaap guzar jaana hai
एक दिन ख़्वाब-नगर जाना है
और यूँही ख़ाक-बसर जाना है
उम्र भर की ये जो है बे-ख़्वाबी
ये उसी ख़्वाब का हर्जाना है
घर से किस वक़्त चले थे हम लोग
ख़ैर अब कौन सा घर जाना है
मौत की पहली अलामत साहिब
यही एहसास का मर जाना है
किसी तक़रीब-ए-जुदाई के बग़ैर
ठीक है जाओ अगर जाना है
शोर की धूल में गुम गलियों से
दिल को चुप-चाप गुज़र जाना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Qabr Shayari Shayari