tiri gali se guzarne ko sar jhukaaye hue
faqeer hujra-e-haft-aasman uthaaye hue
koi darakht saraaye ki jis mein ja baitheen
parinde apni pareshaaniyaan bhulaaye hue
mere sawaal wahi toot-foot ki zad mein
jawaab un ke wahi hain bane-banaaye hue
hamein jo dekhte the jin ko dekhte the ham
vo khwaab khaak hue aur vo log saaye hue
shikaariyon se mere ehtijaaj mein babar
darakht aaj bhi shaamil the haath uthaaye hue
तिरी गली से गुज़रने को सर झुकाए हुए
फ़क़ीर हुजरा-ए-हफ़्त-आसमाँ उठाए हुए
कोई दरख़्त सराए कि जिस में जा बैठें
परिंदे अपनी परेशानियाँ भुलाए हुए
मिरे सवाल वही टूट-फूट की ज़द में
जवाब उन के वही हैं बने-बनाए हुए
हमें जो देखते थे जिन को देखते थे हम
वो ख़्वाब ख़ाक हुए और वो लोग साए हुए
शिकारियों से मिरे एहतिजाज में 'बाबर'
दरख़्त आज भी शामिल थे हाथ उठाए हुए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Muflisi Shayari Shayari