main kuchh dinon mein use chhod jaane waala tha
jahaaz ghark hua jo khazaane waala tha
gulon se boo-e-shikast uth rahi hai naghmagaro
yahin kahi koi kooze banaane waala tha
ajeeb haal tha is dasht ka main aaya to
na khaak thi na koi khaak udaane waala tha
tamaam dost alaav ke gird jam'a the aur
har ek apni kahaani sunaane waala tha
kahaani jis mein ye duniya nayi thi achhi thi
aur is pe waqt bura waqt aane waala tha
bas ek khwaab ki doori pe tha vo shehar jahaan
main apne naam ka sikka chalaane waala tha
shajar ke saath mujhe bhi hila gaya babar
vo saanehaa jo use pesh aane waala tha
मैं कुछ दिनों में उसे छोड़ जाने वाला था
जहाज़ ग़र्क़ हुआ जो ख़ज़ाने वाला था
गुलों से बू-ए-शिकस्त उठ रही है नग़्मागरो
यहीं कहीं कोई कूज़े बनाने वाला था
अजीब हाल था इस दश्त का मैं आया तो
न ख़ाक थी न कोई ख़ाक उड़ाने वाला था
तमाम दोस्त अलाव के गिर्द जम्अ थे और
हर एक अपनी कहानी सुनाने वाला था
कहानी जिस में ये दुनिया नई थी अच्छी थी
और इस पे वक़्त बुरा वक़्त आने वाला था
बस एक ख़्वाब की दूरी पे था वो शहर जहाँ
मैं अपने नाम का सिक्का चलाने वाला था
शजर के साथ मुझे भी हिला गया 'बाबर'
वो सानेहा जो उसे पेश आने वाला था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Dosti Shayari Shayari