bhaai khuda ke bande jaanen dil ko jaise raam kiya
apni badhaai ho duniya par chaar chhe din jo kaam kiya
ek nishaani si saahil par saari kahaani chhod gai
doobti naav par us aakhiri mauj ne kya ina'am kiya
pyaare dushman jeevan jogi aakhir tum bhi dekh hi loge
khud ko khair se kahte sunoge ham ne mazaak jo aam kiya
naam pata be-shak mat likkho pahunchega tum bas khat likkho
aur is had tak gumnaami mein paida kis ne naam kiya
khushiyaan gham jab hans ro baithe aakhir ko sab chup ho baithe
bujhta alaav oonghte taare ham ne khoob kalaam kiya
kuchh mauzoon na-mauzoon karta ya yun karta to kyun karta
lekin khaali battery ne bharwaan bandooq ka kaam kiya
भाई ख़ुदा के बंदे जानें दिल को जैसे राम किया
अपनी बधाई हो दुनिया पर चार छे दिन जो काम किया
एक निशानी सी साहिल पर सारी कहानी छोड़ गई
डूबती नाव पर उस आख़िरी मौज ने क्या इनआ'म किया
प्यारे दुश्मन जीवन जोगी आख़िर तुम भी देख ही लोगे
ख़ुद को ख़ैर से कहते सुनोगे हम ने मज़ाक़ जो आम किया
नाम पता बे-शक मत लिक्खो पहुँचेगा तुम बस ख़त लिक्खो
और इस हद तक गुमनामी में पैदा किस ने नाम किया
ख़ुशियाँ ग़म जब हँस रो बैठे आख़िर को सब चुप हो बैठे
बुझता अलाव ऊँघते तारे हम ने ख़ूब कलाम किया
कुछ मौज़ूँ ना-मौज़ूँ करता या यूँ करता तो क्यों करता
लेकिन ख़ाली बैटरी ने भरवाँ बंदूक़ का काम किया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Udasi Shayari Shayari