mere qareeb hi mahtaab dekh saka tha
gaye dinon mein ye taalaab dekh saka tha
ik aise waqt mein sab ped main ne naql kiye
jahaan pe main inhen shaadaab dekh saka tha
ziyaada der usi naav mein thehrne se
main apne-aap ko gharqaab dekh saka tha
koi bhi dil mein zara jam ke khaak udaata to
hazaar gauhar-e-naayaab dekh saka tha
kahaaniyon ne meri aadaten bigaad di theen
main sirf sach ko zafar-yaab dekh saka tha
magar vo shehar kahaani mein rah gaya hai dost
jahaan main rah ke tire khwaab dekh saka tha
मिरे क़रीब ही महताब देख सकता था
गए दिनों में ये तालाब देख सकता था
इक ऐसे वक़्त में सब पेड़ मैं ने नक़्ल किए
जहाँ पे मैं इन्हें शादाब देख सकता था
ज़ियादा देर उसी नाव में ठहरने से
मैं अपने-आप को ग़र्क़ाब देख सकता था
कोई भी दिल में ज़रा जम के ख़ाक उड़ाता तो
हज़ार गौहर-ए-नायाब देख सकता था
कहानियों ने मिरी आदतें बिगाड़ दी थीं
मैं सिर्फ़ सच को ज़फ़र-याब देख सकता था
मगर वो शहर कहानी में रह गया है दोस्त!
जहाँ मैं रह के तिरे ख़्वाब देख सकता था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Friendship Shayari Shayari