so duniya mein jeena basna dil ko marne mat dena | सो दुनिया में जीना बसना दिल को मरने मत देना

  - Idris Babar

so duniya mein jeena basna dil ko marne mat dena
yaar kiraye-daar ko ghar par qabza karne mat dena

job zaroori hoti hai sahab majboori hoti hai
job ke ghanchakkar mein pad kar khwaab bikharna mat dena

aisi lahren aisi bahren kab qismat se milti hain
achhe maanjhi ab nayyaa ko paar utarne mat dena

ek dafa ka zikr hai dono ik lahore mein yakja the
ek dafa ka zikr hai us ko kabhi mukarne mat dena

maal pe rash kaafi hoga bas ek do kash kaafi hoga
ab kisi car ko kisi sawaar ko sar se guzarne mat dena

murda naare lagaane waale zinda gosht jala sakte hain
is be-ant hujoom ko khud se ziyaada darne mat dena

सो दुनिया में जीना बसना दिल को मरने मत देना
यार किराए-दार को घर पर क़ब्ज़ा करने मत देना

जॉब ज़रूरी होती है साहब मजबूरी होती है
जॉब के घनचक्कर में पड़ कर ख़्वाब बिखरने मत देना

ऐसी लहरें ऐसी बहरें कब क़िस्मत से मिलती हैं
अच्छे माँझी अब नय्या को पार उतरने मत देना

एक दफ़ा का ज़िक्र है दोनों इक लाहौर में यकजा थे
एक दफ़ा का ज़िक्र है उस को कभी मुकरने मत देना

माल पे रश काफ़ी होगा बस एक दो कश काफ़ी होगा
अब किसी कार को किसी सवार को सर से गुज़रने मत देना

मुर्दा नारे लगाने वाले ज़िंदा गोश्त जला सकते हैं
इस बे-अंत हुजूम को ख़ुद से ज़ियादा डरने मत देना

  - Idris Babar

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari