dil ke ghutne ko ishaara samjho | दिल के घुटने को इशारा समझो - Idris Babar

dil ke ghutne ko ishaara samjho
dehr ye apna khasaara samjho

ye bhi mumkin hai ki tum door ke log
is alaav ko sitaara samjho

ye bhi ik mauj hai mitti ki sahi
waqt kam hai to kinaara samjho

par nahin hote khayaalon ke to phir
kaise udte hain ghubaara samjho

kise maaloom khazana mil jaaye
koi naqsha to dobara samjho

khet rul jaayenge paagal-pan mein
jang kaisi mujhe haara samjho

दिल के घुटने को इशारा समझो
दहर ये अपना ख़सारा समझो

ये भी मुमकिन है कि तुम दूर के लोग
इस अलाव को सितारा समझो

ये भी इक मौज है मिट्टी की सही
वक़्त कम है तो किनारा समझो

पर नहीं होते ख़यालों के तो फिर
कैसे उड़ते हैं ग़ुबारा समझो

किसे मालूम ख़ज़ाना मिल जाए
कोई नक़्शा तो दोबारा समझो

खेत रुल जाएँगे पागल-पन में
जंग कैसी मुझे हारा समझो

- Idris Babar
1 Like

Ishaara Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Ishaara Shayari Shayari