dhoom gum-gashta khazaano ki machaata phire kaun | धूम गुम-गश्ता ख़ज़ानों की मचाता फिरे कौन - Idris Babar

dhoom gum-gashta khazaano ki machaata phire kaun
in zamaanon mein jo the hi nahin jaata phire kaun

baagh mein un se mulaqaat ka imkaan bhi hai
sirf phoolon ke liye laut ke aata phire kaun

seekh rakhe hain parindon ne sab ashjaar ke geet
aaj-kal mood hi aisa hai ki gaata phire kaun

main to kehta hoon yahin ghaar mein rah lo jab tak
waqt poocho hi nahin shehar basaata phire kaun

bhes badle hue ik shakhs ki khaatir hai ye sab
hum faqeeron ke bhala naaz uthaata phire kaun

khwaab ya'ni ye shab-o-roz jise chahiye hon
aa ke le jaaye ab awaaz lagata phire kaun

ikhtilaafaat saroon mein hain gharo se badh kar
phir uthaani jo hai deewaar girata phire kaun

धूम गुम-गश्ता ख़ज़ानों की मचाता फिरे कौन
इन ज़मानों में जो थे ही नहीं जाता फिरे कौन

बाग़ में उन से मुलाक़ात का इम्कान भी है
सिर्फ़ फूलों के लिए लौट के आता फिरे कौन

सीख रक्खे हैं परिंदों ने सब अश्जार के गीत
आज-कल मूड ही ऐसा है कि गाता फिरे कौन

मैं तो कहता हूँ यहीं ग़ार में रह लो जब तक
वक़्त पूछो ही नहीं शहर बसाता फिरे कौन

भेस बदले हुए इक शख़्स की ख़ातिर है ये सब
हम फ़क़ीरों के भला नाज़ उठाता फिरे कौन

ख़्वाब या'नी ये शब-ओ-रोज़ जिसे चाहिए हों
आ के ले जाए अब आवाज़ लगाता फिरे कौन

इख़्तिलाफ़ात सरों में हैं घरों से बढ़ कर
फिर उठानी जो है दीवार गिराता फिरे कौन

- Idris Babar
0 Likes

Phool Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Phool Shayari Shayari