khamosh rah ke zawal-e-sukhan ka gham kiye jaayen | ख़मोश रह के ज़वाल-ए-सुख़न का ग़म किए जाएँ

  - Idris Babar

khamosh rah ke zawal-e-sukhan ka gham kiye jaayen
sawaal ye hai ki yun kitni der ham kiye jaayen

ye naqsh-gar ke liye sahal bhi na ho shaayad
ki ham se aur bhi is khaak par raqam kiye jaayen

kai guzishta zamaane kai shikasta nujoom
jo dastaras mein hain lafzon mein kaise zam kiye jaayen

ye goshwaare zabaan ke bahut sanbhaal chuke
sau sher kaat diye jaayen khwaab kam kiye jaayen

tera khayal bhi aaye to kitni der talak
kai ghazaal mere dasht-e-dil mein ram kiye jaayen

main jaanta hoon ye mumkin nahin magar ai dost
main chahta hoon ki vo khwaab phir bahm kiye jaayen

hisaab dil ka rakhen ham ki dehr ka babar
shumaar daagh kiye jaayen ya diram kiye jaayen

ख़मोश रह के ज़वाल-ए-सुख़न का ग़म किए जाएँ
सवाल ये है कि यूँ कितनी देर हम किए जाएँ

ये नक़्श-गर के लिए सहल भी न हो शायद
कि हम से और भी इस ख़ाक पर रक़म किए जाएँ

कई गुज़िश्ता ज़माने कई शिकस्ता नुजूम
जो दस्तरस में हैं लफ़्ज़ों में कैसे ज़म किए जाएँ

ये गोश्वारे ज़बाँ के बहुत सँभाल चुके
सौ शेर काट दिए जाएँ ख़्वाब कम किए जाएँ

तेरा ख़याल भी आए तो कितनी देर तलक
कई ग़ज़ाल मिरे दश्त-ए-दिल में रम किए जाएँ

मैं जानता हूँ ये मुमकिन नहीं मगर ऐ दोस्त
मैं चाहता हूँ कि वो ख़्वाब फिर बहम किए जाएँ

हिसाब दिल का रखें हम कि दहर का 'बाबर'
शुमार दाग़ किए जाएँ या दिरम किए जाएँ

  - Idris Babar

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari