dariya vo kahaan raha hai jo tha | दरिया वो कहाँ रहा है जो था

  - Idris Babar

dariya vo kahaan raha hai jo tha
ye shehar ka aakhiri qissa-go tha

jo khaak si dil mein ud rahi hai
yaa koi ghazaal ho na ho tha

ab se ye hamaara ghar nahin khair
pehle bhi na tha khayal to tha

saabit nahin kar sakoge tum log
kya mera vujood tha chalo tha

dono ghadiyon par hijr ka waqt
hona nahin chahiye tha so tha

is khwaab mein kya nahin dar-asl
bas kah to diya na khwaab jo tha

दरिया वो कहाँ रहा है जो था
ये शहर का आख़िरी क़िस्सा-गो था

जो ख़ाक सी दिल में उड़ रही है
याँ कोई ग़ज़ाल हो न हो था

अब से ये हमारा घर नहीं ख़ैर
पहले भी न था ख़याल तो था

साबित नहीं कर सकोगे तुम लोग
क्या मेरा वजूद था चलो था

दोनों घड़ियों पर हिज्र का वक़्त
होना नहीं चाहिए था सो था

इस ख़्वाब में क्या नहीं दर-अस्ल
बस कह तो दिया ना ख़्वाब जो था

  - Idris Babar

Hijr Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Hijr Shayari Shayari