dost kuchh aur bhi hain tere alaava mere dost | दोस्त कुछ और भी हैं तेरे अलावा मिरे दोस्त

  - Idris Babar

dost kuchh aur bhi hain tere alaava mere dost
kai sehra mere hamdam kai dariya mere dost

tu bhi ho main bhi hoon ik jagah pe aur waqt bhi ho
itni gunjaaishein rakhti nahin duniya mere dost

teri aankhon pe mera khwab-e-safar khatm hua
jaise saahil pe utar jaaye safeena mere dost

zeest be-ma'ni wahi be-sar-o-saamaani wahi
phir bhi jab tak hai tiri dhoop ka saaya mere dost

ab to lagta hai judaai ka sabab kuchh bhi na tha
aadmi bhool bhi saka hai na rasta mere dost

raah takte hain kahi door kai sust charaagh
aur hawa tez hui jaati hai achha mere dost

दोस्त कुछ और भी हैं तेरे अलावा मिरे दोस्त
कई सहरा मिरे हमदम कई दरिया मिरे दोस्त

तू भी हो मैं भी हूँ इक जगह पे और वक़्त भी हो
इतनी गुंजाइशें रखती नहीं दुनिया मिरे दोस्त!

तेरी आँखों पे मिरा ख़्वाब-ए-सफ़र ख़त्म हुआ
जैसे साहिल पे उतर जाए सफ़ीना मिरे दोस्त!

ज़ीस्त बे-मा'नी वही बे-सर-ओ-सामानी वही
फिर भी जब तक है तिरी धूप का साया मिरे दोस्त!

अब तो लगता है जुदाई का सबब कुछ भी न था
आदमी भूल भी सकता है न रस्ता मिरे दोस्त!

राह तकते हैं कहीं दूर कई सुस्त चराग़
और हवा तेज़ हुई जाती है अच्छा मिरे दोस्त!

  - Idris Babar

Samundar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Idris Babar

As you were reading Shayari by Idris Babar

Similar Writers

our suggestion based on Idris Babar

Similar Moods

As you were reading Samundar Shayari Shayari