dekh na is tarah guzaar arsa-e-chashm se mujhe
fursat-e-deed ho na ho mohlat-e-khwab de mujhe
bas-ki guzishtani hai waqt bas-ki shikastani hai dil
khwaab koi dikha ki jo yaad na aa sake mujhe
khaam hi rakh ke pukhtagi shakl hai ik shikast ki
aatish-e-wasl ki jagah khaak-e-firaq de mujhe
haan ai gubaar-e-aashna main bhi tha hum-safar tira
pee gaeein manzilen tujhe kha gaye raaste mujhe
der se ro nahin saka door hoon so nahin saka
gham jo rula sake mujhe sam jo sula sake mujhe
देख न इस तरह गुज़ार अर्सा-ए-चश्म से मुझे
फ़ुर्सत-ए-दीद हो न हो मोहलत-ए-ख़्वाब दे मुझे
बस-कि गुज़िश्तनी है वक़्त बस-कि शिकस्तनी है दिल
ख़्वाब कोई दिखा कि जो याद न आ सके मुझे
ख़ाम ही रख के पुख़्तगी शक्ल है इक शिकस्त की
आतिश-ए-वस्ल की जगह ख़ाक-ए-फ़िराक़ दे मुझे
हाँ ऐ गुबार-ए-आश्ना मैं भी था हम-सफ़र तिरा
पी गईं मंज़िलें तुझे खा गए रास्ते मुझे
देर से रो नहीं सका दूर हूँ सो नहीं सका
ग़म जो रुला सके मुझे सम जो सुला सके मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Idris Babar
our suggestion based on Idris Babar
As you were reading Waqt Shayari Shayari