mera zehan dil ka rafeeq hai
mera dil rafeeq hai jism ka
mera jism hai meri aankh mein
meri aankh us ke badan mein hai
vo badan ki bosa-e-aatisheen mein jala bhi phir bhi haraa raha
vo badan ki lams ki baarishon mein dhula bhi phir bhi naya raha
vo badan ki vasl ke faasle pe raha bhi phir bhi mera raha
mujhe e'tiraaf mere vujood pe ek charaagh ka ek khwaab ka ek umeed ka qarz hai
mujhe e'tiraaf ki mere naakhun-e-be-hunar pe hazaar tarah ke qarz hain
mera zehan mujh ko rihaa kare to main saare qarz utaar doon
meri aankh mujh se wafa kare to main jism o jaan pe vaar doon
मिरा ज़ेहन दिल का रफ़ीक़ है
मिरा दिल रफ़ीक़ है जिस्म का
मिरा जिस्म है मिरी आँख में
मिरी आँख उस के बदन में है
वो बदन कि बोसा-ए-आतिशीं में जला भी फिर भी हरा रहा
वो बदन कि लम्स की बारिशों में धुला भी फिर भी नया रहा
वो बदन की वस्ल के फ़ासले पे रहा भी फिर भी मिरा रहा
मुझे ए'तिराफ़! मिरे वजूद पे एक चराग़ का एक ख़्वाब का एक उमीद का क़र्ज़ है
मुझे ए'तिराफ़! कि मेरे नाख़ुन-ए-बे-हुनर पे हज़ार तरह के क़र्ज़ हैं
मिरा ज़ेहन मुझ को रिहा करे तो मैं सारे क़र्ज़ उतार दूँ
मिरी आँख मुझ से वफ़ा करे तो मैं जिस्म ओ जान पे वार दूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading War Shayari Shayari