diyaar-e-noor mein teera-shabon ka saathi ho
koi to ho jo meri vahshaton ka saathi ho
main us se jhooth bhi boluun to mujh se sach bole
mere mizaaj ke sab mausamon ka saathi ho
main us ke haath na aaun vo mera ho ke rahe
main gir padhoon to meri pastiyon ka saathi ho
vo mere naam ki nisbat se mo'tabar thehre
gali gali meri ruswaaiyon ka saathi ho
kare kalaam jo mujh se to mere lehje mein
main chup rahoon to mere tevaron ka saathi ho
main apne aap ko dekhoon vo mujh ko dekhe jaaye
vo mere nafs ki gumraahiyo ka saathi ho
vo khwaab dekhe to dekhe mere hawaale se
mere khayal ke sab manzaron ka saathi ho
दयार-ए-नूर में तीरा-शबों का साथी हो
कोई तो हो जो मिरी वहशतों का साथी हो
मैं उस से झूट भी बोलूँ तो मुझ से सच बोले
मिरे मिज़ाज के सब मौसमों का साथी हो
मैं उस के हाथ न आऊँ वो मेरा हो के रहे
मैं गिर पड़ूँ तो मिरी पस्तियों का साथी हो
वो मेरे नाम की निस्बत से मो'तबर ठहरे
गली गली मिरी रुस्वाइयों का साथी हो
करे कलाम जो मुझ से तो मेरे लहजे में
मैं चुप रहूँ तो मेरे तेवरों का साथी हो
मैं अपने आप को देखूँ वो मुझ को देखे जाए
वो मेरे नफ़्स की गुमराहियों का साथी हो
वो ख़्वाब देखे तो देखे मिरे हवाले से
मिरे ख़याल के सब मंज़रों का साथी हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Arif
our suggestion based on Iftikhar Arif
As you were reading Khyaal Shayari Shayari