mere nuqoosh tire zehan se mita dega
mera safar hi mere faasle badha dega
andheri raat hai is tund-khoo se mat kehna
vo raushni ke liye apna ghar jala dega
main us ka sab se hoon pyaara magar bichhadte hi
vo sab ko yaad karega mujhe bhula dega
bana hua hoon main mujrim baghair jurm kiye
ab aur kya mera munsif mujhe saza dega
ugaayaa jis ne hai banjar zameen mein tujh ko naseem
hai kya baeed ki vo phool bhi khila dega
मिरे नुक़ूश तिरे ज़ेहन से मिटा देगा
मिरा सफ़र ही मिरे फ़ासले बढ़ा देगा
अँधेरी रात है इस तुंद-ख़ू से मत कहना
वो रौशनी के लिए अपना घर जला देगा
मैं उस का सब से हूँ प्यारा मगर बिछड़ते ही
वो सब को याद करेगा मुझे भुला देगा
बना हुआ हूँ मैं मुजरिम बग़ैर जुर्म किए
अब और क्या मिरा मुंसिफ़ मुझे सज़ा देगा
उगाया जिस ने है बंजर ज़मीं में तुझ को 'नसीम'
है क्या बईद कि वो फूल भी खिला देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading I Miss you Shayari Shayari