yun hai tiri talash pe ab tak yaqeen mujhe
jaise tu mil hi jaayega phir se kahi mujhe
main ne to jo bhi dil mein tha chehre pe likh liya
tu hai ki ek baar bhi padhta nahin mujhe
dhalti hi shaam toot pada sar pe aasmaan
phir mera bojh le gaya zer-e-zameen mujhe
ta'beer jaagti hui aankhon ko kya mile
ik khwaab bhi to shab ne dikhaaya nahin mujhe
kanda hai mera naam jahaan aaj bhi naseem
pahchaante nahin usi ghar ke makeen mujhe
यूँ है तिरी तलाश पे अब तक यक़ीं मुझे
जैसे तू मिल ही जाएगा फिर से कहीं मुझे
मैं ने तो जो भी दिल में था चेहरे पे लिख लिया
तू है कि एक बार भी पढ़ता नहीं मुझे
ढलते ही शाम टूट पड़ा सर पे आसमाँ
फिर मेरा बोझ ले गया ज़ेर-ए-ज़मीं मुझे
ता'बीर जागती हुई आँखों को क्या मिले
इक ख़्वाब भी तो शब ने दिखाया नहीं मुझे
कंदा है मेरा नाम जहाँ आज भी 'नसीम'
पहचानते नहीं उसी घर के मकीं मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Shaam Shayari Shayari