mishal-e-ummeed thaamo rehnuma jaisa bhi hai
ab to chalna hi padega raasta jaisa bhi hai
kis liye sar ko jhukaayein ajnabi ke saamne
us se ham waqif to hain apna khuda jaisa bhi hai
kis ko furqat thi hujoom-e-shauq mein jo sochta
dil ne us ko chun liya vo bewafa jaisa bhi hai
saari duniya mein vo mere vaaste bas ek hai
phool sa chehra hai vo ya chaand sa jaisa bhi hai
fasl-e-gul mein bhi dikhaata hai khizaan-deeda-darakht
toot kar dene pe aaye to ghatta jaisa bhi hai
मिशअल-ए-उम्मीद थामो रहनुमा जैसा भी है
अब तो चलना ही पड़ेगा रास्ता जैसा भी है
किस लिए सर को झुकाएँ अजनबी के सामने
उस से हम वाक़िफ़ तो हैं अपना ख़ुदा जैसा भी है
किस को फ़ुर्सत थी हुजूम-ए-शौक़ में जो सोचता
दिल ने उस को चुन लिया वो बेवफ़ा जैसा भी है
सारी दुनिया में वो मेरे वास्ते बस एक है
फूल सा चेहरा है वो या चाँद सा जैसा भी है
फ़स्ल-ए-गुल में भी दिखाता है ख़िज़ाँ-दीदा-दरख़्त
टूट कर देने पे आए तो घटा जैसा भी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Phool Shayari Shayari