apni majboori bataata raha ro kar mujh ko
vo mila bhi to kisi aur ka ho kar mujh ko
main khuda to nahin jo us ko dikhaai na diya
dhoondhta mera pujaari kabhi kho kar mujh ko
pa liya jis ne tah-e-aab bhi apna saahil
mutmain tha mera toofaan dubo kar mujh ko
reg-e-saahil pe likhi waqt ki tahreer hoon main
mauj aaye to chali jaayegi dho kar mujh ko
neend hi jaise koi kunj-e-amaan hai ab to
chain milta hai bahut der se so kar mujh ko
fasl-e-gul ho to nikale mujhe is barzakh se
bhool jaaye na tah-e-sang vo bo kar mujh ko
अपनी मजबूरी बताता रहा रो कर मुझ को
वो मिला भी तो किसी और का हो कर मुझ को
मैं ख़ुदा तो नहीं जो उस को दिखाई न दिया
ढूँढता मेरा पुजारी कभी खो कर मुझ को
पा लिया जिस ने तह-ए-आब भी अपना साहिल
मुतमइन था मिरा तूफ़ान डुबो कर मुझ को
रेग-ए-साहिल पे लिखी वक़्त की तहरीर हूँ मैं
मौज आए तो चली जाएगी धो कर मुझ को
नींद ही जैसे कोई कुंज-ए-अमाँ है अब तो
चैन मिलता है बहुत देर से सो कर मुझ को
फ़स्ल-ए-गुल हो तो निकाले मुझे इस बर्ज़ख़ से
भूल जाए न तह-ए-संग वो बो कर मुझ को
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Bekhabri Shayari Shayari