gire hain lafz varq pe lahu lahu ho kar | गिरे हैं लफ़्ज़ वरक़ पे लहू लहू हो कर

  - Iftikhar Naseem

gire hain lafz varq pe lahu lahu ho kar
mahaaz-e-zeest se lautaa hoon surkh-roo ho kar

usi ki deed ko ab raat din tadpate hain
ki jis se baat na ki ham ne doo-badoo ho kar

bujha charaagh hai dil ka vagarna kaise mujhe
nazar na aayega vo mere chaar soo ho kar

ham apne aap hi mujrim hain apne munsif bhi
khud e'tiraaf karein apne roo-b-roo ho kar

us ek khwaahish-e-dil ka pata chala na use
jo darmiyaan mein rahi sirf guftugoo ho kar

main sab mein rahte hue kis tarah bhulaaun tujhe
har ek shakhs hi milta hai mujh ko tu ho kar

ab us ke saamne jaate hue bhi darta hoon
bhula diya tha jise mahv-e-justuju ho kar

hui na jazb zameen mein to raat ki baarish
fazaa mein phail gai khaak rang-o-boo ho kar

mita jo aankh ke sheeshon se us ka aks naseem
ragon mein phail gaya khun ki aarzoo ho kar

गिरे हैं लफ़्ज़ वरक़ पे लहू लहू हो कर
महाज़-ए-ज़ीस्त से लौटा हूँ सुरख़-रू हो कर

उसी की दीद को अब रात दिन तड़पते हैं
कि जिस से बात न की हम ने दू-बदू हो कर

बुझा चराग़ है दिल का वगर्ना कैसे मुझे
नज़र न आएगा वो मेरे चार सू हो कर

हम अपने आप ही मुजरिम हैं अपने मुंसिफ़ भी
ख़ुद ए'तिराफ़ करें अपने रू-ब-रू हो कर

उस एक ख़्वाहिश-ए-दिल का पता चला न उसे
जो दरमियाँ में रही सिर्फ़ गुफ़्तुगू हो कर

मैं सब में रहते हुए किस तरह भुलाऊँ तुझे
हर एक शख़्स ही मिलता है मुझ को तू हो कर

अब उस के सामने जाते हुए भी डरता हूँ
भुला दिया था जिसे महव-ए-जुस्तुजू हो कर

हुई न जज़्ब ज़मीं में तो रात की बारिश
फ़ज़ा में फैल गई ख़ाक रंग-ओ-बू हो कर

मिटा जो आँख के शीशों से उस का अक्स 'नसीम'
रगों में फैल गया ख़ूँ की आरज़ू हो कर

  - Iftikhar Naseem

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari