ban gaya hai jism guzre qaafilon ki gard sa
kitna veeraan kar gaya mujh ko mera hamdard sa
kya abhi tak us ka rasta rokti hai koi soch
mere haathon mein hai us ka haath lekin sard sa
is tarah ghul-mil gaya aa kar naye maahol mein
vo bhi ab lagta hai mere ghar ka hi ik fard sa
jazb tha jaise koi suraj hi us ke jism mein
door se vo sang lagta tha b-zaahir sard sa
aaj tak aankhon mein hai manzar bichhadne ka naseem
pairhan mela sa us ka aur chehra zard sa
बन गया है जिस्म गुज़रे क़ाफ़िलों की गर्द सा
कितना वीराँ कर गया मुझ को मिरा हमदर्द सा
क्या अभी तक उस का रस्ता रोकती है कोई सोच
मेरे हाथों में है उस का हाथ लेकिन सर्द सा
इस तरह घुल-मिल गया आ कर नए माहौल में
वो भी अब लगता है मेरे घर का ही इक फ़र्द सा
जज़्ब था जैसे कोई सूरज ही उस के जिस्म में
दूर से वो संग लगता था ब-ज़ाहिर सर्द सा
आज तक आँखों में है मंज़र बिछड़ने का 'नसीम'
पैरहन मेला सा उस का और चेहरा ज़र्द सा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading DP Shayari Shayari