libaas-e-khaak sahi par kahi zaroor hoon main | लिबास-ए-ख़ाक सही पर कहीं ज़रूर हूँ मैं

  - Iftikhar Naseem

libaas-e-khaak sahi par kahi zaroor hoon main
bata rahi hai chamak aankh ki ki noor hoon main

koi nahin jo meri lau se raasta dekhe
hawaa-e-tund bujha de tire huzoor hoon main

panaah deta nahin koi aur sayyaara
bhatk raha hoon khala mein zameen se door hoon main

na ho gira ke mujhe tu bhi khaak mein mil jaaye
mujhe gale se laga le tira ghuroor hoon main

nikal pada hoon yoonhi itni barf-baari mein
badan ke garm lahu ka ajab suroor hoon main

saza bhi kaat chuka hoon main jis khata ki naseem
kise pukaaroon kahoon is mein be-qusoor hoon main

लिबास-ए-ख़ाक सही पर कहीं ज़रूर हूँ मैं
बता रही है चमक आँख की कि नूर हूँ मैं

कोई नहीं जो मिरी लौ से रास्ता देखे
हवा-ए-तुंद बुझा दे तिरे हुज़ूर हूँ मैं

पनाह देता नहीं कोई और सय्यारा
भटक रहा हूँ ख़ला में ज़मीं से दूर हूँ मैं

न हो गिरा के मुझे तू भी ख़ाक में मिल जाए
मुझे गले से लगा ले तिरा ग़ुरूर हूँ मैं

निकल पड़ा हूँ यूँही इतनी बर्फ़-बारी में
बदन के गर्म लहू का अजब सुरूर हूँ मैं

सज़ा भी काट चुका हूँ मैं जिस ख़ता की 'नसीम'
किसे पुकारूँ कहूँ इस में बे-क़ुसूर हूँ मैं

  - Iftikhar Naseem

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari