jila-watan hoon mera ghar pukaarta hai mujhe | जिला-वतन हूँ मिरा घर पुकारता है मुझे - Iftikhar Naseem

jila-watan hoon mera ghar pukaarta hai mujhe
udaas naam khula dar pukaarta hai mujhe

kisi ki chaap musalsal sunaai deti hai
safar mein koi barabar pukaarta hai mujhe

sadaf hoon lahren dar-e-jism khatkhataati hain
kinaar-e-aab vo gauhar pukaarta hai mujhe

har ek mod mere paanv se liptata hai
har ek meel ka patthar pukaarta hai mujhe

phansa hua hai mere haath ki lakeeron mein
mera huma-e-muqaddar pukaarta hai mujhe

na jaane kya tha ki main dooriyon mein kho aaya
vo apne paas bula kar pukaarta hai mujhe

chali hai shaam-e-shafaq-rang baadbaan le kar
dabeez shab ka samundar pukaarta hai mujhe

paron ka bojh jhatak kar main ud gaya hoon naseem
zameen par mera paikar pukaarta hai mujhe

जिला-वतन हूँ मिरा घर पुकारता है मुझे
उदास नाम खुला दर पुकारता है मुझे

किसी की चाप मुसलसल सुनाई देती है
सफ़र में कोई बराबर पुकारता है मुझे

सदफ़ हूँ लहरें दर-ए-जिस्म खटखटाती हैं
कनार-ए-आब वो गौहर पुकारता है मुझे

हर एक मोड़ मिरे पाँव से लिपटता है
हर एक मील का पत्थर पुकारता है मुझे

फँसा हुआ है मिरे हाथ की लकीरों में
मिरा हुमा-ए-मुक़द्दर पुकारता है मुझे

न जाने क्या था कि मैं दूरियों में खो आया
वो अपने पास बुला कर पुकारता है मुझे

चली है शाम-ए-शफ़क़-रंग बादबाँ ले कर
दबीज़ शब का समुंदर पुकारता है मुझे

परों का बोझ झटक कर मैं उड़ गया हूँ 'नसीम'
ज़मीन पर मिरा पैकर पुकारता है मुझे

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Udasi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Udasi Shayari Shayari