raat ko baahar akela ghoomna achha nahin | रात को बाहर अकेले घूमना अच्छा नहीं

  - Iftikhar Naseem

raat ko baahar akela ghoomna achha nahin
chhod aao us ko ghar tak raasta achha nahin

gair ho koi to us se khul ke baatein kijie
doston ka doston se hi gila achha nahin

ittifaqan mil gaya to pooch lo mausam ka haal
kyun nahin milta vo us se poochna achha nahin

choom kar jis ko khuda ke haath saunpa tha naseem
us ke baare mein hamesha sochna achha nahin

रात को बाहर अकेले घूमना अच्छा नहीं
छोड़ आओ उस को घर तक रास्ता अच्छा नहीं

ग़ैर हो कोई तो उस से खुल के बातें कीजिए
दोस्तों का दोस्तों से ही गिला अच्छा नहीं

इत्तिफ़ाक़न मिल गया तो पूछ लो मौसम का हाल
क्यूँ नहीं मिलता वो उस से पूछना अच्छा नहीं

चूम कर जिस को ख़ुदा के हाथ सौंपा था 'नसीम'
उस के बारे में हमेशा सोचना अच्छा नहीं

  - Iftikhar Naseem

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari