hai justuju agar is ko idhar bhi aayega | है जुस्तुजू अगर इस को इधर भी आएगा

  - Iftikhar Naseem

hai justuju agar is ko idhar bhi aayega
nikal pada hai to phir mere ghar bhi aayega

tamaam umr kategi yoonhi saraabo mein
vo saamne bhi na hoga nazar bhi aayega

jo gham hua hai naye shehar ke makaanon mein
vo dekhne ko kabhi ye khandar bhi aayega

rachi hai mere badan mein tamaam din ki thakan
abhi to raat ka lamba safar bhi aayega

zara si der mein har shay chamak uthegi naseem
sehar hui hai to noor-e-sehar bhi aayega

है जुस्तुजू अगर इस को इधर भी आएगा
निकल पड़ा है तो फिर मेरे घर भी आएगा

तमाम उम्र कटेगी यूँही सराबों में
वो सामने भी न होगा नज़र भी आएगा

जो ग़म हुआ है नए शहर के मकानों में
वो देखने को कभी ये खंडर भी आएगा

रची है मेरे बदन में तमाम दिन की थकन
अभी तो रात का लम्बा सफ़र भी आएगा

ज़रा सी देर में हर शय चमक उठेगी 'नसीम'
सहर हुई है तो नूर-ए-सहर भी आएगा

  - Iftikhar Naseem

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari