naam bhi jis ka zabaan par tha duaon ki tarah | नाम भी जिस का ज़बाँ पर था दुआओं की तरह - Iftikhar Naseem

naam bhi jis ka zabaan par tha duaon ki tarah
vo mujhe milta raha na-aashnaaon ki tarah

aa ki tere muntazir hain aaj bhi deewar-o-dar
goonjtaa hai ghar mein sannaata sadaaon ki tarah

vo shajar jalta raha khud kis karkati dhoop mein
jis ka saaya tha mere sar par ghataon ki tarah

jhuk rahe the baagh ke sab phool us ke saamne
ghaas par baitha tha vo farmaan-ravaaon ki tarah

main bhala kaise use ik ajnabi kah doon naseem
jis ne dekha tha palat kar aashnaon ki tarah

नाम भी जिस का ज़बाँ पर था दुआओं की तरह
वो मुझे मिलता रहा ना-आश्नाओं की तरह

आ कि तेरे मुंतज़िर हैं आज भी दीवार-ओ-दर
गूँजता है घर में सन्नाटा सदाओं की तरह

वो शजर जलता रहा ख़ुद किस कड़कती धूप में
जिस का साया था मिरे सर पर घटाओं की तरह

झुक रहे थे बाग़ के सब फूल उस के सामने
घास पर बैठा था वो फ़र्मां-रवाओं की तरह

मैं भला कैसे उसे इक अजनबी कह दूँ 'नसीम'
जिस ने देखा था पलट कर आश्नाओं की तरह

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Dhoop Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Dhoop Shayari Shayari