tamaam umr safar ka samar milega mujhe | तमाम उम्र सफ़र का समर मिलेगा मुझे - Iftikhar Naseem

tamaam umr safar ka samar milega mujhe
pas-e-ufuq hi kahi ab to ghar milega mujhe

ye kis liye main khala-dar-khala bhatkata hoon
vo kaun hai jo mera chaand par milega mujhe

mila na jis ke liye ghar ka narm garm sukoon
yahin kahi vo sar-e-rahguzar milega mujhe

azaab ye hai ki tanhaa kategi umr tamaam
safar ke baad koi hum-safar milega mujhe

kahi dikhaai na de kaash chhodne waala
kahunga kya main use ab agar milega mujhe

तमाम उम्र सफ़र का समर मिलेगा मुझे
पस-ए-उफ़ुक़ ही कहीं अब तो घर मिलेगा मुझे

ये किस लिए मैं ख़ला-दर-ख़ला भटकता हूँ
वो कौन है जो मिरा चाँद पर मिलेगा मुझे

मिला न जिस के लिए घर का नर्म गर्म सुकून
यहीं कहीं वो सर-ए-रहगुज़र मिलेगा मुझे

अज़ाब ये है कि तन्हा कटेगी उम्र तमाम
सफ़र के बाद कोई हम-सफ़र मिलेगा मुझे

कहीं दिखाई न दे काश छोड़ने वाला
कहूँगा क्या मैं उसे अब अगर मिलेगा मुझे

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Eid Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Eid Shayari Shayari