abhi to dil mein hai jo kuchh bayaan karna hai
ye baad mein sahi kis baat se mukarna hai
tu mere saath kahaan tak chalega mere ghazaal
main raasta hoon mujhe shehar se guzarna hai
kinaar-e-aab main kab tak ginuunga lehron ko
hai shaam sar pe mujhe paar bhi utarna hai
abhi to main ne hawaon mein rang bharne hain
abhi to main ne ufuq dar ufuq bikhrna hai
diler hain ki abhi doston mein baithe hain
gharo ko jaate hue saaye se bhi darna hai
main muntazir hoon kisi haath ka banaya hua
ki us ne mujh mein abhi aur rang bharna hai
hazaar sadiyon ki raundi hui zameen hai naseem
nahin hoon main ki jise pehla paanv dharna hai
अभी तो दिल में है जो कुछ बयान करना है
ये बाद में सही किस बात से मुकरना है
तू मेरे साथ कहाँ तक चलेगा मेरे ग़ज़ाल
मैं रास्ता हूँ मुझे शहर से गुज़रना है
कनार-ए-आब मैं कब तक गिनूँगा लहरों को
है शाम सर पे मुझे पार भी उतरना है
अभी तो मैं ने हवाओं में रंग भरने हैं
अभी तो मैं ने उफ़ुक़ दर उफ़ुक़ बिखरना है
दिलेर हैं कि अभी दोस्तों में बैठे हैं
घरों को जाते हुए साए से भी डरना है
मैं मुंतज़िर हूँ किसी हाथ का बनाया हुआ
कि उस ने मुझ में अभी और रंग भरना है
हज़ार सदियों की रौंदी हुई ज़मीं है 'नसीम'
नहीं हूँ मैं कि जिसे पहला पाँव धरना है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Shahr Shayari Shayari