jaane waalon ke liye tu aur kya le jaayega | जाने वालों के लिए तू और क्या ले जाएगा - Iftikhar Naseem

jaane waalon ke liye tu aur kya le jaayega
dekh le duniya jahaan tak raasta le jaayega

khwaahish-e-guftaar rah jaayegi phir zer-e-zabaan
izn to de dega lekin hausla le jaayega

goonj ban kar laut jaayegi meri fariyaad bhi
shab ka sannaata kahaan meri sada le jaayega

dil se mit jaayega ik din dekhne milne ka shauq
jitne manzar hain vo aankhon mein saja le jaayega

lutf phir aayega kya sayyaahi-e-dil mein naseem
is khandar se jo milega vo utha le jaayega

जाने वालों के लिए तू और क्या ले जाएगा
देख ले दुनिया जहाँ तक रास्ता ले जाएगा

ख़्वाहिश-ए-गुफ़्तार रह जाएगी फिर ज़ेर-ए-ज़बाँ
इज़्न तो दे देगा लेकिन हौसला ले जाएगा

गूँज बन कर लौट जाएगी मिरी फ़रियाद भी
शब का सन्नाटा कहाँ मेरी सदा ले जाएगा

दिल से मिट जाएगा इक दिन देखने मिलने का शौक़
जितने मंज़र हैं वो आँखों में सजा ले जाएगा

लुत्फ़ फिर आएगा क्या सय्याही-ए-दिल में 'नसीम'
इस खंडर से जो मिलेगा वो उठा ले जाएगा

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Tanz Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Tanz Shayari Shayari