apna saara bojh zameen par fenk diya | अपना सारा बोझ ज़मीं पर फेंक दिया

  - Iftikhar Naseem

apna saara bojh zameen par fenk diya
tujh ko khat likkha aur likh kar fenk diya

khud ko saakin dekha thehre paani mein
jaane kya kuchh soch ke patthar fenk diya

deewarein kyun khaali khaali lagti hain
kis ne sab kuchh ghar se baahar fenk diya

main to apna jism sukhaane nikla tha
baarish ne phir mujh pe samundar fenk diya

vo kaisa tha us ko kahaan par dekha tha
apni aankhon ne har manzar fenk diya

अपना सारा बोझ ज़मीं पर फेंक दिया
तुझ को ख़त लिक्खा और लिख कर फेंक दिया

ख़ुद को साकिन देखा ठहरे पानी में
जाने क्या कुछ सोच के पत्थर फेंक दिया

दीवारें क्यूँ ख़ाली ख़ाली लगती हैं
किस ने सब कुछ घर से बाहर फेंक दिया

मैं तो अपना जिस्म सुखाने निकला था
बारिश ने फिर मुझ पे समुंदर फेंक दिया

वो कैसा था उस को कहाँ पर देखा था
अपनी आँखों ने हर मंज़र फेंक दिया

  - Iftikhar Naseem

Badan Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Badan Shayari Shayari