is tarah soi hain aankhen jaagte sapnon ke saath
khwaahishein lipti hon jaise band darwaazon ke saath
raat-bhar hota raha hai us ke aane ka gumaan
aise takraati rahi thandi hawa pardo ke saath
ek lamhe ka ta'alluq umr bhar ka rog hai
daudte firte rahoge bhaagte lamhon ke saath
main use awaaz de kar bhi bula saka na tha
is tarah toote zabaan ke raabte lafzon ke saath
ek sannaata hai phir bhi har taraf ik shor hai
kitne chehre aankh mein phaile hain aawazon ke saath
jaani-pahchaani hain baatein jaane-bujhe naqsh hain
phir bhi milta hai vo sab se mukhtalif chehron ke saath
dil dhadakta hi nahin hai us ko pa kar bhi naseem
kis qadar maanoos hai ye nit-naye sadmon ke saath
इस तरह सोई हैं आँखें जागते सपनों के साथ
ख़्वाहिशें लिपटी हों जैसे बंद दरवाज़ों के साथ
रात-भर होता रहा है उस के आने का गुमाँ
ऐसे टकराती रही ठंडी हवा पर्दों के साथ
एक लम्हे का तअ'ल्लुक़ उम्र भर का रोग है
दौड़ते फिरते रहोगे भागते लम्हों के साथ
मैं उसे आवाज़ दे कर भी बुला सकता न था
इस तरह टूटे ज़बाँ के राब्ते लफ़्ज़ों के साथ
एक सन्नाटा है फिर भी हर तरफ़ इक शोर है
कितने चेहरे आँख में फैले हैं आवाज़ों के साथ
जानी-पहचानी हैं बातें जाने-बूझे नक़्श हैं
फिर भी मिलता है वो सब से मुख़्तलिफ़ चेहरों के साथ
दिल धड़कता ही नहीं है उस को पा कर भी 'नसीम'
किस क़दर मानूस है ये नित-नए सदमों के साथ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem
our suggestion based on Iftikhar Naseem
As you were reading Bimar Shayari Shayari