us ke chehre ki chamak ke saamne saada laga | उस के चेहरे की चमक के सामने सादा लगा

  - Iftikhar Naseem

us ke chehre ki chamak ke saamne saada laga
aasmaan pe chaand poora tha magar aadha laga

jis ghadi aaya palat kar ik mera bichhda hua
aam se kapdon mein tha vo phir bhi shehzaada laga

har ghadi taiyyaar hai dil jaan dene ke liye
us ne poocha bhi nahin ye phir bhi aamada laga

kaarwaan hai ya saraab-e-zindagi hai kya hai ye
ek manzil ka nishaan ik aur hi jaada laga

raushni aisi ajab thi rang-bhoomi ki naseem
ho gaye kirdaar mudgham krishna bhi radha laga

उस के चेहरे की चमक के सामने सादा लगा
आसमाँ पे चाँद पूरा था मगर आधा लगा

जिस घड़ी आया पलट कर इक मिरा बिछड़ा हुआ
आम से कपड़ों में था वो फिर भी शहज़ादा लगा

हर घड़ी तय्यार है दिल जान देने के लिए
उस ने पूछा भी नहीं ये फिर भी आमादा लगा

कारवाँ है या सराब-ए-ज़िंदगी है क्या है ये
एक मंज़िल का निशाँ इक और ही जादा लगा

रौशनी ऐसी अजब थी रंग-भूमी की 'नसीम'
हो गए किरदार मुदग़म कृष्ण भी राधा लगा

  - Iftikhar Naseem

Aawargi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Aawargi Shayari Shayari