haath haathon mein na de baat hi karta jaaye | हाथ हाथों में न दे बात ही करता जाए - Iftikhar Naseem

haath haathon mein na de baat hi karta jaaye
hai bahut lamba safar yun to na darta jaaye

jee mein thaani hai ki jeena hai bahr-haal mujhe
jis ko marna hai vo chup-chaap hi marta jaaye

khud ko mazboot bana rakhe pahaadon ki tarah
ret ka aadmi andar se bikharta jaaye

surkh phoolon ka nahin zard udaasi ka sahi
rang kuch to meri tasveer mein bharta jaaye

mujh se nafrat hai agar us ko to izhaar kare
kab main kehta hoon mujhe pyaar hi karta jaaye

ghar ki deewaar ko itna bhi tu ooncha na bana
tera ham-saaya tire saaye se darta jaaye

हाथ हाथों में न दे बात ही करता जाए
है बहुत लम्बा सफ़र यूँ तो न डरता जाए

जी में ठानी है कि जीना है बहर-हाल मुझे
जिस को मरना है वो चुप-चाप ही मरता जाए

ख़ुद को मज़बूत बना रक्खे पहाड़ों की तरह
रेत का आदमी अंदर से बिखरता जाए

सुर्ख़ फूलों का नहीं ज़र्द उदासी का सही
रंग कुछ तो मिरी तस्वीर में भरता जाए

मुझ से नफ़रत है अगर उस को तो इज़हार करे
कब मैं कहता हूँ मुझे प्यार ही करता जाए

घर की दीवार को इतना भी तू ऊँचा न बना
तेरा हम-साया तिरे साए से डरता जाए

- Iftikhar Naseem
0 Likes

Travel Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Travel Shayari Shayari