saraaye chhod ke vo phir kabhi nahin aaya | सराए छोड़ के वो फिर कभी नहीं आया

  - Iftikhar Naseem

saraaye chhod ke vo phir kabhi nahin aaya
chala gaya jo musaafir kabhi nahin aaya

har ek shay mere ghar mein usi ke zauq ki hai
jo mere ghar mein b-zaahir kabhi nahin aaya

ye kaun mujh ko adhoora bana ke chhod gaya
palat ke mera musavvir kabhi nahin aaya

makaan hoon jis mein koi bhi makeen nahin rehta
shajar hoon jis pe ki taair kabhi nahin aaya

सराए छोड़ के वो फिर कभी नहीं आया
चला गया जो मुसाफ़िर कभी नहीं आया

हर एक शय मिरे घर में उसी के ज़ौक़ की है
जो मेरे घर में ब-ज़ाहिर कभी नहीं आया

ये कौन मुझ को अधूरा बना के छोड़ गया
पलट के मेरा मुसव्विर कभी नहीं आया

मकाँ हूँ जिस में कोई भी मकीं नहीं रहता
शजर हूँ जिस पे कि ताइर कभी नहीं आया

  - Iftikhar Naseem

One sided love Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading One sided love Shayari Shayari