na jaane kab vo palat aayein dar khula rakhna | न जाने कब वो पलट आएँ दर खुला रखना

  - Iftikhar Naseem

na jaane kab vo palat aayein dar khula rakhna
gaye hue ke liye dil mein kuchh jagah rakhna

hazaar talkh hon yaadein magar vo jab bhi mile
zabaan pe achhe dinon ka hi zaa'ika rakhna

na ho ki qurb hi phir marg-e-rabt ban jaaye
vo ab mile to zara us se fasla rakhna

utaar fenk de khush-fahmiyon ke saare ghilaaf
jo shakhs bhool gaya us ko yaad kya rakhna

abhi na ilm ho us ko lahu ki lazzat ka
ye raaz us se bahut der tak chhupa rakhna

kabhi na laana masaail gharo ke daftar mein
ye dono pahluu hamesha juda juda rakhna

uda diya hai jise choom kar hawa mein naseem
use hamesha hifazat mein ai khuda rakhna

न जाने कब वो पलट आएँ दर खुला रखना
गए हुए के लिए दिल में कुछ जगह रखना

हज़ार तल्ख़ हों यादें मगर वो जब भी मिले
ज़बाँ पे अच्छे दिनों का ही ज़ाइक़ा रखना

न हो कि क़ुर्ब ही फिर मर्ग-ए-रब्त बन जाए
वो अब मिले तो ज़रा उस से फ़ासला रखना

उतार फेंक दे ख़ुश-फ़हमियों के सारे ग़िलाफ़
जो शख़्स भूल गया उस को याद क्या रखना

अभी न इल्म हो उस को लहू की लज़्ज़त का
ये राज़ उस से बहुत देर तक छुपा रखना

कभी न लाना मसाइल घरों के दफ़्तर में
ये दोनों पहलू हमेशा जुदा जुदा रखना

उड़ा दिया है जिसे चूम कर हवा में 'नसीम'
उसे हमेशा हिफ़ाज़त में ऐ ख़ुदा रखना

  - Iftikhar Naseem

Urdu Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Urdu Shayari Shayari