kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai | किसी के हक़ में सही फ़ैसला हुआ तो है

  - Iftikhar Naseem

kisi ke haq mein sahi faisla hua to hai
mera nahin vo kisi shakhs ka hua to hai

yahi bahut hai ki us ne mujhe bhi miss to kiya
ye lams mujh mein abhi tak racha hua to hai

use main khul ke kabhi yaad kar to saka hoon
mujhe khushi hai vo mujh se juda hua to hai

sukoot-e-shab hi sahi mera hum-safar lekin
mere siva bhi koi jaagta hua to hai

ghutan ki badhti chali ja rahi hai andar ki
tamaam khush hain ki mausam khula hua to hai

ye aur baat ki main zinda rah gaya hoon naseem
har ik sitam meri jaan par rawa hua to hai

किसी के हक़ में सही फ़ैसला हुआ तो है
मिरा नहीं वो किसी शख़्स का हुआ तो है

यही बहुत है कि उस ने मुझे भी मिस तो किया
ये लम्स मुझ में अभी तक रचा हुआ तो है

उसे मैं खुल के कभी याद कर तो सकता हूँ
मुझे ख़ुशी है वो मुझ से जुदा हुआ तो है

सुकूत-ए-शब ही सही मेरा हम-सफ़र लेकिन
मिरे सिवा भी कोई जागता हुआ तो है

घुटन कि बढ़ती चली जा रही है अंदर की
तमाम ख़ुश हैं कि मौसम खुला हुआ तो है

ये और बात कि मैं ज़िंदा रह गया हूँ 'नसीम'
हर इक सितम मिरी जाँ पर रवा हुआ तो है

  - Iftikhar Naseem

Justice Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Iftikhar Naseem

As you were reading Shayari by Iftikhar Naseem

Similar Writers

our suggestion based on Iftikhar Naseem

Similar Moods

As you were reading Justice Shayari Shayari