apne pindaar-e-khudi se mufail hoon mazhari | अपने पिंदार-ए-ख़ुदी से मुन्फ़इल हूँ 'मज़हरी'

  - Jameel Mazhari

apne pindaar-e-khudi se mufail hoon mazhari
main zuhoor-e-ikhtilaal-e-aab-o-gil hoon mazhari
ki mohabbat ka mareez-e-mustaqil hoon mazhari
dosti kya dushmani se bhi mohabbat main ne ki
raushni kya teergi se bhi mohabbat main ne ki
muskuraai teergi mujh ko mohabbat ho gai
hans ke boli dushmani mujh ko mohabbat ho gai
muflisi o be-nawaai se mohabbat main ne ki
har suroor-e-khud-numaai se mohabbat main ne ki
har ghuroor-e-kibriyaai se mohabbat main ne ki
be-rukhi o kaj-adaai se mohabbat main ne ki
tar-zabaan ho kar rukhaai se mohabbat main ne ki
tha rajaai kis qadar meri mohabbat ka dimaagh
ahraman ke seena-e-taareek mein dekha charaagh
ik sitaaristaan nazar aaya andhera daagh daagh
main ne makkaari o ayyaari mein bhi dekha khuloos
main sayyaadi o jallaadi se bhi barta khuloos
main ne qahhaari o jabbaari mein bhi dhoonda khuloos
apne is jazbe ko ik tashdeed-e-imaani bhi di
doston ke vaaste eemaan ki qurbaani bhi di
taaki poori ho mohabbat ki ik ummeed-e-fuzool
baar-ha jhonka kiya insaaf ki aankhon mein dhool
phir bhi sab kuchh kho ke sab kuchh de ke kuchh paaya nahin
aql kaam aayi nahin aur ishq raas aaya nahin
jis ko kahte hain wafa ik sakht beemaari hai ye
khud-kushi ho ya na ho lekin khud-aazaari hai ye
naaz-bardaari mein bhi ik baar-bardaari hai ye
main mohabbat ki havas mein itna be-khud ho gaya
mere andar maadda nafrat ka bilkul so gaya
ai azeezo is mareez-e-zindagi ka kya ilaaj
is khudi ka kya ilaaj is be-khudi ka kya ilaaj
jis ko ho naaz-e-wafa us aadmi ka kya ilaaj
ijtiba se poochte ho mazhari ka kya ilaaj
sau khuloos-e-be-riya ka ik khabasat se ilaaj
ye marz hai ye marz hai is ka nafrat hai ilaaj
bas yahi raaz-e-shifa hai bas yahi raaz-e-shifa
bas yahi meri dava hai bas yahi meri dava
koi meri rooh par aisa kare zulm-e-shadeed
mujh mein nafrat jee uthe salwaat bar-rooh-e-yazeed

अपने पिंदार-ए-ख़ुदी से मुन्फ़इल हूँ 'मज़हरी'
मैं ज़ुहूर-ए-इख़्तिलाल-ए-आब-ओ-गिल हूँ 'मज़हरी'
कि मोहब्बत का मरीज़-ए-मुस्तक़िल हूँ 'मज़हरी'
दोस्ती क्या दुश्मनी से भी मोहब्बत मैं ने की
रौशनी क्या तीरगी से भी मोहब्बत मैं ने की
मुस्कुराई तीरगी मुझ को मोहब्बत हो गई
हँस के बोली दुश्मनी मुझ को मोहब्बत हो गई
मुफ़्लिसी ओ बे-नवाई से मोहब्बत मैं ने की
हर सुरूर-ए-ख़ुद-नुमाई से मोहब्बत मैं ने की
हर ग़ुरूर-ए-किब्रियाई से मोहब्बत मैं ने की
बे-रुख़ी ओ कज-अदाई से मोहब्बत मैं ने की
तर-ज़बाँ हो कर रुखाई से मोहब्बत मैं ने की
था रजाई किस क़दर मेरी मोहब्बत का दिमाग़
अहरमन के सीना-ए-तारीक में देखा चराग़
इक सितारिस्ताँ नज़र आया अंधेरा दाग़ दाग़
मैं ने मक्कारी ओ अय्यारी में भी देखा ख़ुलूस
मैं सय्यादी ओ जल्लादी से भी बरता ख़ुलूस
मैं ने क़हहारी ओ जब्बारी में भी ढूँडा ख़ुलूस
अपने इस जज़्बे को इक तश्दीद-अ-ईमानी भी दी
दोस्तों के वास्ते ईमाँ की क़ुर्बानी भी दी
ताकि पूरी हो मोहब्बत की इक उम्मीद-ए-फ़ुज़ूल
बार-हा झोंका किया इंसाफ़ की आँखों में धूल
फिर भी सब कुछ खो के सब कुछ दे के कुछ पाया नहीं
अक़्ल काम आई नहीं और इश्क़ रास आया नहीं
जिस को कहते हैं वफ़ा इक सख़्त बीमारी है ये
ख़ुद-कुशी हो या न हो लेकिन ख़ुद-आज़ारी है ये
नाज़-बरदारी में भी इक बार-बरदारी है ये
मैं मोहब्बत की हवस में इतना बे-ख़ुद हो गया
मेरे अंदर माद्दा नफ़रत का बिल्कुल सो गया
ऐ अज़ीज़ो! इस मरीज़-ए-ज़िंदगी का क्या इलाज
इस ख़ुदी का क्या इलाज इस बे-ख़ुदी का क्या इलाज
जिस को हो नाज़-ए-वफ़ा उस आदमी का क्या इलाज
'इजतिबा' से पूछते हो 'मज़हरी' का क्या इलाज
सौ ख़ुलूस-ए-बे-रिया का इक ख़बासत से इलाज
ये मरज़ है, ये मरज़ है इस का नफ़रत है इलाज
बस यही राज़-ए-शिफ़ा है, बस यही राज़-ए-शिफ़ा
बस यही मेरी दवा है बस यही मेरी दवा
कोई मेरी रूह पर ऐसा करे ज़ुल्म-ए-शदीद
मुझ में नफ़रत जी उठे सलवात बर-रूह-ए-यज़ीद

  - Jameel Mazhari

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jameel Mazhari

As you were reading Shayari by Jameel Mazhari

Similar Writers

our suggestion based on Jameel Mazhari

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari