aakhiri dukh hai zindagi ka dukh | आख़िरी दुख है ज़िंदगी का दुख - Jangveer Singh Rakesh

aakhiri dukh hai zindagi ka dukh
zindagi ya'ni bebaasi ka dukh

ham na royen to aur roye kaun
shaakh se tooti har kali ka dukh

aur bahut dukh hain zindagi mein dost
tu nahin meri zindagi ka dukh

main kisi pal sa dekhta hoon mahaj
ek bahti hui nadi ka dukh

kuchh charaagon ne baant rakha hai
duniya ki saari teergi ka dukh

ek muddat se ro nahin paaya
aaj rounga main sabhi ka dukh

dekhiye main jo hoon bahut khush hoon
mujh ko maaloom hai khushi ka dukh

main idhar tadapuun vo udhar tadpe
yahi hai veer dil-lagi ka dukh

आख़िरी दुख है ज़िंदगी का दुख
ज़िंदगी या'नी बेबसी का दुख

हम न रोएँ तो और रोए कौन
शाख़ से टूटी हर कली का दुख

और बहुत दुख हैं ज़िंदगी में दोस्त
तू नहीं मेरी ज़िंदगी का दुख

मैं किसी पल सा देखता हूँ महज़
एक बहती हुई नदी का दुख

कुछ चराग़ों ने बाँट रखा है
दुनिया की सारी तीरगी का दुख

एक मुद्दत से रो नहीं पाया
आज रोऊँगा मैं सभी का दुख

देखिए मैं जो हूँ बहुत ख़ुश हूँ
मुझ को मालूम है ख़ुशी का दुख

मैं इधर तड़पूँ वो उधर तड़पे
यही है 'वीर' दिल-लगी का दुख

- Jangveer Singh Rakesh
2 Likes

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Jangveer Singh Rakesh

As you were reading Shayari by Jangveer Singh Rakesh

Similar Writers

our suggestion based on Jangveer Singh Rakesh

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari